Friday, December 26, 2008

Just four lines on terrorism in Pakistan.

Hunar ghazab ka hai unmein ghazab ki taakat hai,
woh haadson ki khabar de kar muskuraate hain,
Ajeeb desh hai wahaan mazhab ko roshni dene ko,
Wahan ke log padosi kaa ghar jalaate hain.

Tuesday, September 9, 2008

Mein hi hun

Tu reh le chaar-diwari mein,
Sansaar to teraa mein hi hun,


Tu bhale bhadakti agni ho,
angaar to teraa mein hi hun,


Tu abhivyakti hai kavita ki,
par saar to teraa mein hi hun,


Tu nav-vivaahita dulhan si,
shrangaar to teraa mein hi hun,


Tanhai mein kumhalaya hua,
rukhsaar to tera mein hi hun,


Tu laakh chura nazrein mujhse,
Aur laakh bhale inkaar tu kar,


Par aaj ye tujhse kehta hun,
Ki pyaar to tera mein hi hun.
Haan pyaar to tera mein hi hun.

.

Sunday, April 27, 2008

Ye Zakhm

Woh zakhm bhar gaye tune khanjar se jo kiye,

Par logon ki zubaanon mein abhi aur zeher baaki hai,


Mujhe to dikhta tha woh aankhon ka samundar tera,

Kya tujhe dikhta tha mere dil mein kitna seher baaki hai???

(seher - sehra = desert)


Tu bahaar hai kal gul khilaa ke chali jaayegi,

Kya mud ke dekhegi kitnaa sunsaan sheher baki hai??


Kehne ko to do saahil kabhi mil hi nahin sakte,

Dekhna ye hai unhein dubone ko kya koi leher baki hai??


Tune sun kar bhi ansuni kar di woh ankahi baat,

E-husn, tune maut to de di,

Ab dhaane ko kya aur keher baki hai??